top of page

Tum bolo to sahi ..

  • Writer: Kartikey Pandey
    Kartikey Pandey
  • May 7, 2019
  • 1 min read

Updated: May 13, 2021


Wo tum humesh shikayat karti ho na Ki mai tumhari, baat nahi sunta Apne kam mai mhafuz rhta hu mai dhyan nahi deta.

To phir.... Is najam ke agaaz se, Is mai like alfaz se. Aaj hum har wo baat kare, Jo tum saatati hai. Har wo shikayat, Har wo hidayat, Jo tumahre dil mai ati hai. Har wo baat purani si, jis mai kamiya kuch meri or kuch tumari bhi. Har wo baat adhuri si, Kuch achi to kuch buri si, Wo anniversary bhul jaana ho, Ya geela towel chod dena ho, Naa chate hue bhi light off na karna ho, ya ! geele farash par dan dna te hue chal dena ho.


In laparwahiyo ko, meri beparwahi na samajna. Mai kai bar kuch batte bhul jata hai hu mujhe bhulakad na samajna. Isliye Aaj hum har wo baat kare, Jo tum saatati hai, yaa tumhare maan mai ati hai. wo tumhara har purana missra bhi sunu ga wo kissa school ka bhi sunuga. har wo baat or usmai chiphe jasbat bhi sunu ga. Tum bolo to sahi aaj mai har baat sunu ga !!!




コメント


©2018 by Blank voice. Proudly created with Wix.com

bottom of page