Labh-azad-hai-tere
- Kartikey Pandey
- May 13, 2021
- 1 min read
Shukar! hai labh azad hai tere
Na dharm ke tale hai na waqt ke phare hai
Ye azad hai teri har baat khne ko
Har alfaz baya karne ko
Shukar! Hai labh azad hai tere
To bol jara jo maan me hai tere
Likh har wo fasana jo dil mai hai tere
Bole ke labh azad hai tere
Bole ke waqt ab-tak baki hai
Wo roke gay tujhe
Wo toke gay tujhe
Hakeem kai sajish rache gay
Wo bheje gay kuch thulo ko
Kai pandit, priest or mullo ko
Par tu rukna nahi,
Kyoki..
Labh tere hai seele nahi
Par haa mat bhulna ye bhi
qadar rakhna
Har uss afsane ki Har us baat ki
jo teri sachi se juda ho
Kyoki ..
Jab bolne ki icha rakh te ho to suna bhi jaruri hota hai
kai bar dusre ka jhooth sach Or apna sach, jhoot bhi hota hai
Is liye Bolo or bolne do!!
kyo ki..
बोलन से तुलसी हुए, बोलत रहे कबीर,
बोलन पर बाधा पडे, जग की बांहें पीर
कला-सृजन वो धर्म है, जिनसे उपजे वेद,
कला-सृजन की मौत पर, जुग-जुग करिये खेद.
Comments